Find Me In Facebook: Here Are The Links:

Here Are The Links:

My Facebook Profile:
http://www.facebook.com/profile.php?id=597668308

My Facebook Like Page:
http://www.facebook.com/pages/Jazbaat-E-Tehzeeb/246371792057365

Would Love To Meet You There..... Hugs & Lots Of Wishes!!!!

Tahzeeb!

Monday, May 28, 2007

Rona Bhi jo chahein to woh Rone Nahi Deta...





Rona Bhi jo chahein to woh Rone Nahi Deta...Wo shakhs to palkein Bhi Bhigone Nahi Deta...
Woh Roz Rulaata hai hamein khwaab Mein Aakar....Sona Bhi jo chahein to woh sone Nahi Deta.....
Yeh kis ke ishaare pe Umadh Aaye hain Baadal...Hai kaon jo Barish kabhi hone Nahi deta...
Aata hai khayalon Mein Mere kaon yeh Aksar...Jo mujh ko kisi Or ka hone Nahi Deta....
Is Darr se ki kahin todh kar Aansoo Na Bahayein...Bachchon ko Main Mitti ke khilone Nahin Deta...
Ik Shakhs hai Aesa Meri Hasti Mein Abhi Tak....Jo Bojh Akele Mujhe Dhone Nahi Deta...
Main hu ki Bahata hU teri yaad Mein Aansoo....Aur tu hai ki Ashkon ko pirone Nahi Deta....
Woh chehra Ajab hai jise paakar Main Abhi Tak....Khona bhi jo chahoon to woh khone Nahi Deta...

Friday, May 25, 2007

Main Waqt Pe Ghar Kyon Nahi Jata.......


Main Waqt Pe Ghar Kyon Nahi Jata----

kya dhoondti hay nigahay.........

Benaam Sa Ye Dard, Thehar Kyon Nahi Jata,Jo Beet Gaya Hai, Woh Guzar Kyon Nahi Jata---Sab Kuch To Hai, Kya Dhundti Rahti Hai Nigahe,Kya Baat Hai Main Waqt Pe Ghar Kyon Nahi Jata----

Woh Ek Hi Chera To, Nahi Sare Jahan Mein,Jo Dur Hai Woh Dil Se Utar Kyon Nahi Jata-----Main Apni Hi Uljhi Hui Raho Ka Tamasha,Jate Hain Jidhar Sab, Main Udhar Kyon Nahi Jata.


Kisi kay kho janay ka Dar kion nahin jata ....yeh bojh mery Dil say utar kion nahin jata.......Manzail pay poohanch kay bhi usy khona paradega ....yeh tay hay too phir shooq-e-safar kyon nahin jata.......

Main Waqt Pe Ghar Kyon Nahi Jata----

Friday, May 18, 2007

Yehi Wafa Ka Sila Hai To Koi Baat Nahi !




Yehi Wafaa ka silaah hai...
Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi....Yeh dard tum ne diya hai,
to koi baat nahi.
Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se,Safeena doob raha hai, to koi baat nahi...Rakha tha aashiyana-e-tehzeeb dil main choopa ke tumko,
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi....Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi...
Kise majaal kahe koi mujh ko deewana, Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi...

Koi Apna Nahin Banta...


koi apna nahin banta Labon pay naam rakhney say dilon main yaad karney say har ek dhadkan, har ek tadpan kokisi ke naam karney say...
Kisi tanha akeli raah-e-guzar par puraney se kisi boodhey shajar par patthar say koi dil bananey sayaur usmein apna aur kisi ka naam sajaney sey
koi apna nahin banta...
Tamam umer ki khushiyan mohabbat ki sabhi ghadiyaan kisi ko daan karney sey Woh pehley pyar ki bateinrifaqat ki sabhi ratein woh chahat ki sabhi rasmein mohabbat ki sabhi qasmein hamesha yaad rakhney sey Koi Apna Nahi banta...An-dekhe Khwab sajane se,Sehra mein raat guzarne se, Bhooke pet sojane se, Woh apno se ruswai, gairon se humdardi, ghar chodna, purane marasim mitana,woh apni dhun mein rehne se, Bhari mehfil mein rone se, Kitabon mein phool rakhne se, koi apna nahin banta.........

Wednesday, May 9, 2007

Yeh kaisa banayaa ek musafir ne ghar…


Yeh kaisa banayaa ek musafir ne ghar…

Ek musafir ne banaaya kinaaro par ghar,Duaayein woh karta tha shaam-o-seher,Na doobne ka khauf na toofaano ka darr Jaise kashti ho zindagi aur dost har lehar Par har taraf paani hi paani tha aata nazar Woh paani kahaan, tha woh khaara zeharWoh tadapta raha har ghadi har pehar,

Ye kaisa banaaya kinaaro par ghar…Phir musafir ne banaaya sitaaro par gharShayad hone laga tha duaao ka asar Ab baadal hi baadal the aate nazarJo sirf dete the paani, na dete zeharPar sooni thi galiyaan, tha soona shehar Tha musafir toe zinda, par tanha safarWoh khaali makaano ko kehta tha gharYe kaisa banaaya sitaaro par ghar…Phir musafir ne banaaya ek yaaro ka gharLog kehne lage be-sahaaro ka gharNa kinaaro par tha woh, na sitaaro ka gharTha zamee par hi chand deewaaro ka ghar Woh jhukaata ab jab bhi darbaaro par sarEk dua se ban jaata hazaaro ka ghar,Tha mahalo se achha do deewaaro ka ghar Bada khoob banaa tha woh yaaro ka ghar....
Yeh kaisa banayaa ek musafir ne ghar…

Sunday, May 6, 2007

Ussey kehna...


Ussey kehna...


Kabhi mila tu ye baat us se kehna,

Biker rahi hai meri zaat ussey kehna,

Woh sath thi to zamana tha humsafar mera,

Mager ab koi nai mere sath ussey kehna,

Ussey kehna...


Ussey pukaro ya khud hi pounch jao us ke pass,

Nahi rahe woh halat ussey kehna,

Mager woh phir bhi na lotey to aye mehrban Raqeeb,

Humari zeest ki halat ussey kehna,


Ussey kehna...

Har baat to likh nahi sakta main lafzo main,

Nahi de rahe saath mere Jazbaat usee kehna,

Har jeet us ke naam ker raha hun mein,

Mein manta hun apni HAAR tehzeeb, ussey kehna..

Ussey kehna.....

Friday, May 4, 2007

Jeene ke liye bhi waqt nahi.......


Jeene ke liye bhi waqt nahi.......

Har khushi hai logo ke Daaman me,Par ek HASI ke liye waqt nahi.Din raat daudti hai duniya me,Per Jindagi ke liye he waqt nahi.Maa ki lori ka ehesaas to hai sabko,par maa ko maa kehne ka waqt nahi.Sare rishton ko to hum maar chuke,ab unhe dafnane ka bhi waqt nahi.Saree naam mobile me hain,par dosti ke liye waqt nahi.Gairon ki kya baat kahen,jab apano ke liye he waqt nahi.Ankhon me hai neend badee,par sone ko waqt nahi.Dil hai gamo se bharaa hua,par rone ko bhi waqt nahee.Paison ki daud me aise daude,ke Kharch karne ke liyeh bhi waqt nahi.Paraye ehesaso ki kya kadar karen,jab apane sapano ke liye hi waqt nahi.Tu hi bata E Zindagi,is Zindagi ka kya hoga.Ki har pal mar ne walon ko,jeene ke liye bhi waqt nahi.......Jeene ke liye bhi waqt nahi.......

Wednesday, May 2, 2007

Samandar main utarta hoon to aankhain kyon bheeg jaati hain...


Samandar main utarta hoon to aankhain kyon bheeg jaati hain...
Teri aankhon ko padhta hoon to aankhain kyon bheeg jaati hain,
Tera naam likhney ki ijaazat chhin gayi jub say....
koi bhi lafz likhta hoon to aankhain kyon bheeg jaati hain,
Teri yaadon ki khushboo khirkiyoun main "Raqs" karti hay....
Teray gham main sulagta hoon to aankhain kyon bheeg jaati hain,
Teri sadayen roz bulati hai mujhe ShabBhar,
Rukta hoon to Aankhain kyon bheeg jate hai...
Najaaney hogaya hoon is qadar Khamosh main kub say....
kisi say baat karta hoon to aankhain kyon bheeg jaati hain,
Woh sub guzrey huay lamhaat mujh ko yaad aatey hain Aksar...
Tumhaarey khat jo padhta hoon to aankhain kyon bheeg jaati hain,
Samandar main utarta hoon to aankhain kyon bheeg jaati hain...
Teri aankhon ko padhta hoon to aankhain kyon bheeg jaati hain !!!!