Find Me In Facebook: Here Are The Links:

Here Are The Links:

My Facebook Profile:
http://www.facebook.com/profile.php?id=597668308

My Facebook Like Page:
http://www.facebook.com/pages/Jazbaat-E-Tehzeeb/246371792057365

Would Love To Meet You There..... Hugs & Lots Of Wishes!!!!

Tahzeeb!

Friday, April 20, 2007

Meray Khuwab Meray Jazbaat Sirf Meray Tak Hain.....


Meray Khuwab Meray Jazbaat Sirf Meray Tak Hain.....

MerayBaad Enhay Yaad Karay Ga Kaun,

Meri Chahaat Ban Jaye Gi ek Afsana,

Meri Mohabat Ko Yaad Karay Ga Kaun.


Meray Khuwab Meray Jazbaat Sirf Meray Tak Hain.....

Meray Tak Hain Yeh Tamam Gulzaar Nazaray,

Meray Baad Enhay Aabad Karay Ga Kaun,

Meri Kahaniyian Bikhrein Gi Rahoon Pay,

Meray Afsanoon Ko Yaad Karay Ga Kaun,

Meri Khatayon Ko Shumar Karay Ga Zamana,

Meri Lafzon Ko Yaad Karay Ga Kaun.


Meray Khuwab Meray Jazbaat Sirf Meray Tak Hain.....

Jo Guzaray Thay Hum Nay Zamanay Mill Kay Un Zamanon Ko Yaad Karay Ga Kaun,

Meri Aahein Meray Saath Ho Jaien Gi Dafan,

Meray Aashkon Ko Yaad Karay Ga Kaun,

Ek Tum Say Hai Zinda Yeh Chahaat Meri Tum Hee Na Ho Gay Tuo Yaad Karay Ga Kaun,

Meray Darakhtoon pe wafaon ke patte abhi Baqi hai,

Meray baad inhain Labraiz karega kaun,

Teri Ummed ke Chiragon main lo abhi baqi hai,

Meray baad inhain roshan karega kaun.

Meray Khuwab Meray Jazbaat Sirf Meray Tak Hain.....

Kyon Rakhun Ab Main Apni Kalam Main Syahi....


Kyon Rakhun ab main Apni Kalam main Syahi....

Jab koi Armaan dil main machalta hi nahi.....

Na jaane kyon shaq kerte hain sab Mujhper....

Jab koi SUKHA phool meri kitaab se nikalta hi nahi....


Kyon Rakhun ab main Apni Kalam main Syahi....

Kashish to bahot hai mere "Ashqon" main magar...

Kya karun koi PATTHAR dil pighalta hi nahi...

Agar khuda mile to usse apna PYAR mangoonga,

Per suna hai WOH marne se pehle kissi se milta hi nahi,

Kyon Rakhun ab main Apni Kalam main Syahi..............

Monday, April 16, 2007

Apne Ehsaas Se Chhoo Kar Mujhe Fannah Kar Do.....




Apne ehsaas se chhoo kar mujhe Fannah kar do.....



Main kai sadion se adhoora hoon mukammal kar do,



Na tumhe hosh rahe na mujhe hosh rahe,is qadar toot ker chaho ki pagal kar do,



Meri hatheli ko apna pyar ki mehndi se rango,meri ankhon mein apne pyar ka kajal bhardo,



Dhoop hi dhoop hoon main, mujhpe is qadar barso k meri rooh ko Gulzaar kardo,



Tum chhupa lo mera dil, chhaon mein apne dil ki, Aur mujhe meri nigahon se bhi ojhal kardo,



Apne gham ko kaho har waqt mere saath rahe,ek ehsaan karo, is ko musalsal kar do,



mujh pe chha jao kisi aag ki soorat ki tarah aur meri chahat ko sookha hua jungal kar do.......



Apne ehsaas se chhoo kar mujhe Fannah kar do.....

Friday, April 13, 2007

Baat Aansoo ki Hay....






Baat Aansoo ki Hay....

Hum milay to bahey the aansoo,

hum bichde to bahey the aansoo,

Milna bichadna to naseeb may tha kyu phir bahey the aansoo...



Baat Aansoo ki Hay....

Sochta raha hu tujh ko raat bhar,

raat bhar phir bahey the aansoo,

Khwaab may phir dekha hay aaj tujh ko,

aur aaj phir bahey the aansoo,

Gilay kagaz pay adhey likhe adhey mitey lafz,

saboot hay ke phir bahey the aansoo,

Likh raha tha may kuch, naam aya likhne ko tera aur phir bahey the aansoo,

Woh moti se kam na the mere liye Sanam,

jo app ki yaad may mere bahe y the aansoo,

Dekha to pani ke katre the,

par samunder-e-tehzeeb qaid hay us pani may jo ban ke bahey the aansoo,

Baat Aansoo ki Hay..............

Kuch log un hi shahar mein humse khafa hain !


Kuch log un hi shahar mein humse khafa hain;
Dil mein hozaroorat hai to mohabbat nahi milti,
khairat mein itni badi daulat nahi milti,
kuch log un hi shahar mein humse khafa hain,
har ek se to apni tabiyat nahi milti....
Kuch log un hi shahar mein humse khafa hain........
dekha tha jise maine koi aur tha shayad,
vo kaun hai jisse teri surat nahi milti,
haste huye chehron se hai baajar ki zannat,
rone ko yahan vaise bhi fursat nahi milti,
Wo kahkar chale gaye itni mulaqat kafi hai...

kuch log un hi shahar mein humse khafa hain........
humne kaha ruk jaao abhi raat baki hai,
aansu mere tham jayen to shauk se jana,
aise mein kahan jaaoge abhi is dil mein barsaat kaafi hai,
sochta hoon samundar ki lahron ko dekh kar,
kun ya kinare se takrakar laut jati hain,
karti hain saahil se bewafai ya sagar se wafa nibhati hain.

Kuch log un hi shahar mein humse khafa hain........
Do Kadam To Sab Chal Lete Hain Par,
Zindagi Bhar Ka Saath Koi Nahi Nibhata,
Agar Ro kar Bhulaai Jaati Yaadein To,
Hanskar Koi Ghum Naa Chupata,
Unki jahan se nirali hai ada,Andaz unke hai yaaro sabse juda,
Khafa ho jaaye toh qatil se kam nahi,
meharbaan ho jaayen toh lagte hain khuda.
kuch log un hi shahar mein humse khafa hain........

Manzile bhi uski thi,rasta bhi uska tha. !




Manzile bhi uski thi,rasta bhi uska tha...........


Manzile bhi uski thi,rasta bhi uska tha,


ek main akela tha, kafila bhi uska tha,


saath-saath chalne ki soch bhi uski thi,


fir raasta badalne ka faisla bhi uska tha....




Manzile bhi uski thi,rasta bhi uska tha...


aaj kyon akela hoon, dil sawal karta hai,


log to uska the, per kya khuda bhi uska tha..?


kyun karoon.....Hokar zameen ka, aasman ki chah kyon karoon,


main tujhko paane ki tamanna kyon karoon.




Manzile bhi uski thi,rasta bhi uska tha...


mujhko khabar hai, judai tadpayegi tujhe har pal,


isliye bata de main tujhse wafa kyon karoon,


imaan ko mere chot lagegi,gr tu na mili mujhe,


tujhe aapna banane ki dua phir kyon karoon,




Manzile bhi uski thi,rasta bhi uska tha...


teri masoomiyat ko banayaa hai rab ne mohhabat ke liye,


tujhe na chahne ki khata main kyon karoon,


farishtey bhi tadap jate hain ,teri aankhon se jab ashk chalakte hain,


ye dard tujhe dekar, main koi gunah kyon karoon,


teri meri kismat ki rahein hain juda juda,


main phir tera ban jane ki aarzo kyon karoon,


Manzile bhi uski thi,rasta bhi uska tha ek main akela tha,


kafila bhi uska tha....................

Thursday, April 12, 2007

Main Har Ek Sawal Ka Jawab Kya Deta !




Main her ek sawaal ka jawab kya deta........


Lakht lakht badan ka hesab kya deta,


Jo ek lafz ki khushbo na rakh saka mehfuz,


Main us ke haath mein sari kitaab kya deta.




Main her ek sawaal ka jawab kya deta........


Labon Pe Geet To Aankho Mein Khwaab Rakhte the,


Kabhi Hum Bhi Kitaabon mein Gulaab Rakhte the,


Kabhi Kisi ka Jo hota tha Intzaar Ae "Tehzeeb",


Bahut Hi Shaam-o-Sehar Ka Hisaab Rakhte the,




Main her ek sawaal ka jawab kya deta........


Bahaut Chaha Par Unko Bhula Na Sake,


Khayalo Mai Kisi Or ko Lana Sake,


Unko Bhula Ke Assu To Ponch Liye,


Par Kisi Or Ko Dekh Kar Muskura Na Sake.




yun to "Raat" ka alam haseen hota hai, madhosh bhi,


magar"chand"dekhoon to meri ratein badal jati hain,


karney ko kia nahi kartey log muhabbat mein,


sirf hamarey liye hi kyun? rasmein badal jati hain,


Main her ek sawaal ka jawab kya deta........