Find Me In Facebook: Here Are The Links:

Here Are The Links:

My Facebook Profile:
http://www.facebook.com/profile.php?id=597668308

My Facebook Like Page:
http://www.facebook.com/pages/Jazbaat-E-Tehzeeb/246371792057365

Would Love To Meet You There..... Hugs & Lots Of Wishes!!!!

Tahzeeb!

Thursday, November 15, 2007

Yaad Nahi...............


Yaad Nahi......
Koi had bhi us ko yad nahi,Koi baat bhi usko yaad nahi,
Ek shaks ne usko chaha tha,Wo zaat bhe usko yaad nahi,
Jab shab ki bijli chamki thi,Aur badal toot k barsa tha,Hum dono jis main bheege the,Wo barsaat bhe usko yaad nahi,
Wo saahil darya phool hawa,Wo waada saath nibhane ka,Aur shab bhar chand ko dekha tha,Wo raat bhe usko yaad nahi,
Woh kehti thi main sunta tha,main kehta tha wo sunti thi,Un lakhon baaton main, Koi ek baat bhe usko yaad nahi,

Yaad Nahi......

Jo meri ankho se khwab dekho........




Jo meri ankho se khwab dekho........
Jo meri ankhon se khwab dekho,Tu aik shab b na so sako gay....K lakh chaho na hans sako gay,agar chaho to bhi na ro sako gay...
K khwab kiya han azab daastan hai ye,Meray dukhon ki kitab han ye..Ummeden in may chotti han,Muhabbatain in may roth’ti han...Panapti han in mai bewafaye see,Azziyatain en main phot’ti han..
Ghamo ki bandish han khwab meray,Dukho ki barish han khwab meray.......Ubal raha hi dukhon ka lawaSulagti hoyee aatish hain khwab meray...Kheyal saray jhulas gay han,Sulagti khwahish han khwab meray....
Ukharti sansain han zindagi ki ismain,Laho ki sazish han khwab meray,Jo meri ankho se khwab dekho....Tu aik shab bhi na so sako gay,,,


Jo meri ankho se khwab dekho........!

KOI LAHR AAKE MITA NA DE......!


KOI LAHR AAKE MITA NA DE..................


MERE DIL KI RAAKH KHURAID MAT........
ISE MUSKURA KER HAWA NA DE,,,,,,
YE CHIRAG PHIR BHE CHIRAG HAIN,,,,
KAHIN TERA HATH JALA NA DAIN.....!
NAYE DOUR KE NAYE KHWAB HAIN YEH,,,,,
NAYE MOSAMON KE GULAB HAIN YEH ,,,,,
YE MOHABBATON KE CHIRAG HAIN YEH,,,,,
INHAIN NAFRATON KI HAWA NA DE......!
ZARA DAIKH CHAND KI ROSHNI MAIN,,,,,
BIKHAR BIKHAR KE TAMAM SHAB,,,,,
TERA NAAM LIKHA RAIT PER,,,,
KOI LAHR AAKE MITA NA DE....!
YAHAN LOOG RAHTE HAIN RAAT DIN,,,,,
KISI MASLIHAT KE NAQAB MAIN,,,,,,
YE TERI NIGHA KI SADGI,,,,,,,
KAHIN RAAZ-E-DIL BATA NA DE.....!
MAIN UDASIYAN NA SAJA SAKUN,,,,,,
KABHI JISM-O-JAAN KE MAZAR PER,,,,
NA DIYA JALA MERI ANKH MAIN,,,,,
MUJHAY ITNI SAKHT SAZA NA DE......!
MERE SATH CHALNE KE SHOQ MAIN,,,,
BARI DHOOP SIR PE AUTHAYEGA,,,,
TERA NAK NAQSHA HAI MOOM KA,,,,,,
KAHIN GHAM KI AAG JALA NA DE,,,

KOI LAHR AAKE MITA NA DE..................

Yaadoon se rishta kal bhi tha yaadon se rishta aaj bhi hai....


Yaadoon se rishta kal bhi tha yaadon se rishta aaj bhi hai,Dil kal bhi apna dukhta tha or afsurda sa aaj bhi hai,
Woh ishq jo hum tum karte thay woh ishq tu zinda ab bhi hai,Kal tak jo hijar sataata tha us hijar ka pehra aaj bhi hai,
Tum door huye majboori main hum toot gaye is doori main,Kabhi waqt mile tu aa jaana dil ka darwaaza khula aaj bhi hai,
Woh saahil woh geeli mitti, mitti ke gharonde saahil perWoh naam darakhtoon per likhna woh khwaab suhaana aaj bhi hai,
Tum khush rehna dil ki duniya apni tu chalo barbaad hoi,Dil gham ka maara kal bhi thaa aur gham ka maara aaj bhi hai,
Yeh ashk nahin hain aankhoon mein yeh taaray jhilmil karte hain,In aankhoon mein jo kal tak thaa woh chaand sa chehra aaj bhi hai,
Ab shikwa kisi se kya karna taqdeer mein jo likha thaa mila,Gham kal bhi mera sarmaaya thaa gham mera warsa aaj bhi ha....Yaadoon se rishta kal bhi tha yaadon se rishta aaj bhi hai......

Monday, November 5, 2007

Main Aiyna Hoon,Wo Mera Khayal Rakhti Hay.......


Main Aiyna Hoon,Wo Mera Khayal Rakhti Hay,

Main Toot-ta Hoon Tu Chun Kar Sambhal Rakhti Hay,Har Aik Maslay Ka Hal Nikal Rakhti HaiSamajhdaar hai Hai,Mujhay Hairat Main Daal Rakhti Hay,

Main Jab Bhi iqraar Ki Baat Karta HoonWoh Rokti Hay Mujhay,

Kal Pay Taal Rakhti Hay,Woh Mairay Dard Ko Chunnti Hay Apnay Pooron Say Woh Mairay Wastay Khud Ko Nidhaal Rakhti Hay,

Woh Dobnay Nahi Daiti Hay Dukh Kay Darya MainMairay Wajood Ki Naow Uchaal, Rakhti Hay,Duain Uss Ki , Balaoon Ko Rook Laiti Hain?Woh Mairay Chaar Soo Hathon Ki Dhaal Rakhti Hay,Ik Aisi Dhun,Kay Nahin Phir Kabhi Main Nay SuniWoh Munfarid Saa Hansi Main Kamal Rakhti Hay..... ,

Usay jawab mere Kahan Gawara Hain,,Woh Mairay Wastay Asaan Sawal Rakhti Hay,Bichar Kay Uss Say Main Duniya Ki Thokaron Main Hon Woh Pass Ho Tau Mujhay Lazawaal Rakhti Hay.....Woh Muntazir Mera Rehti Hay Dhoop Main,Main Laut-ta Hoon To daman-e-tehzeeb Nikal Rakhti Hay...!

post scrap cancel

Thursday, June 21, 2007

Meri dastan-e-hasrat woo suna suna k roye....


Meri dastan-e-hasrat woo suna suna k roye....
Merey aazmanay walay mujhay aazma k roye,

Jo sunai anjuman main shab-e-gham ki aap biti,
Kuch roo k muskuraey aur kuch muskura k roye..

Teri kuch adaoon pay teri bewafaoun pay,
Kabhi moo chupa k rooay kabhi sar jhuka k roay...

Main hoon bay watan musafir mera saath kaun deta,
Mere gham hi the jo mujhay galay laga k roye...

Mere pass say guzar kar mera haal tak na poocha,
Main ye kaisay maan loon k woo door jaa k roye.......

Meri dastan-e-hasrat woo suna suna k roye....

Thursday, June 7, 2007

Kis Say Mehfil Ki Baat Karte Ho....




Kis Say Mehfil Ki Baat Karte Ho....

kis say mehfil ki baat karte ho, may to tanhaiyo may rehta hu...humsafar kon hai mere gham ka may to parchaaiyo may rehta hu.....mujhko maloom hay k gham kya hai, mujhko maloom hai k zindagi kya hai...tum zamane ki baat karte ho, may to gehraiyo may rehta hu.....meri aawaaz log sunte hai, dard ka saaz log sunte hai.. meri shohrat to ek dhoka hai, may to ruswaiyo main rehta hu!!!!!!!! khud ko barbaad ker liya meine, gham se azad ker liya meine... ab weerana mera thikana hai, may to barbaadiyo may rehta hu.... mujhse poocho na aansuon ka sabab, jo mere paas hai muqaddar hai... kya khushi hai yeh keh nahi sakta, gham ki may aandhiyo may rehta hu........

Tum samne they hum shikayat na kar sake.......!




Tum samne they hum shikayat na kar sake.......!


Gum ho gaye kahin hum ebadat na kar sakeHum chahte toh cheekh sakte they zamane se, magarRuswayee se aapki bagawat na kar sake...Muddat guzar gayee baithe hai rahguzar perEk tum ho jo kabhi nazre enayat na kar sake...Woh tera zameer tha ki kasmein-wade bhula diyeHum hai ki jajbaton ki tijarat na kar sake...Tum mujhse juda hokar mujhe bhool gaye hoEk hum hai joh teri yaad se adawat na kar sake...Pyar ki maut per tum kaise khush ho Sanam ??Hum honton per tabassumon ki sajawat na kar sake.. Tum samne they hum shikayat na kar sake.......!

Kuchh To Socha Hoga....


Kuchh To Socha Hoga....

Jab meraa dil toda hoga usne kuch to socha hoga... meri yaad to aati hogi mera naam to leta hoga... jiski khaatir hum rote hein vo bhi mujhko rota hoga... kyon uska dil maine toda..? apne dil se kehta hoga... Meri mazar se guzarta hai woh,aur ek dua to deta hoga.taktaa hoga meri raahein chaukhat pe vo baitha hoga... sote-sote raaton ko vo har aahat pe chaunka hoga... na main hu na mere khat hai voh kitnaa tanhaa hoga... Hamarai ghazlein sun-sun kar dil to uska dukhta hoga... Kabhi hote hoge barish shab main,to yakeenan woh ashq chupata hoga,Kuchh To Socha Hoga

Friday, June 1, 2007

Roya hoon teri yaad main din raat musalsalaise....


Roya hoon teri yaad main din raat musalsal aise

kabhi hoti nahi barsaat musalsal,kante ki terha hoon main rakeebon ki nazar main,rehte hain meri ghaat main chee saat musalsal,Chere ko nae dhab se sajatein hain wo har rooz bante hain meri muat ke halaat musalsal.Ham ne to koi cheez bhi ijaad nahi ki hai,aate hain nazar un ke kamalaat musalsal,karte hain musawaat ki tableeg wo joon,bherte hi jate hain tabkaat musalsal,har rooz kisi shehar main hote hain dhmake,rehti hai mere desh main shab-o-raat musalsal,har rooz wo milte hain nae roop main mujh ko,perte hain meri sehat-e-tehzeeb per asraat musalsal

Aisa kabhi na kerna..................


Aisa kabhi na kerna
Tum rooth jao mujhseaisa kabhi na kerna...
main ik nazar ko tarsoonaisa kabhi na kerna!
main pooch pooch haroonso so sawal kar k...
tum kuch jawab na doaisa kabhi na kerna!
mujhse hi mil k hansnamujhse hi mil k rona...
mujhse bicher k jee loaisa kabhi nakerna!
tum chand ban k rehnamain daikhta rahoon ga tumhai....
kisi roz tum na niklo aisa kabhi na kerna!
tum chalay jao jab bhi tu dekhoon tumhara rasta...
tum loat k na aaoasia kabhi na karna....!!

Monday, May 28, 2007

Rona Bhi jo chahein to woh Rone Nahi Deta...





Rona Bhi jo chahein to woh Rone Nahi Deta...Wo shakhs to palkein Bhi Bhigone Nahi Deta...
Woh Roz Rulaata hai hamein khwaab Mein Aakar....Sona Bhi jo chahein to woh sone Nahi Deta.....
Yeh kis ke ishaare pe Umadh Aaye hain Baadal...Hai kaon jo Barish kabhi hone Nahi deta...
Aata hai khayalon Mein Mere kaon yeh Aksar...Jo mujh ko kisi Or ka hone Nahi Deta....
Is Darr se ki kahin todh kar Aansoo Na Bahayein...Bachchon ko Main Mitti ke khilone Nahin Deta...
Ik Shakhs hai Aesa Meri Hasti Mein Abhi Tak....Jo Bojh Akele Mujhe Dhone Nahi Deta...
Main hu ki Bahata hU teri yaad Mein Aansoo....Aur tu hai ki Ashkon ko pirone Nahi Deta....
Woh chehra Ajab hai jise paakar Main Abhi Tak....Khona bhi jo chahoon to woh khone Nahi Deta...

Friday, May 25, 2007

Main Waqt Pe Ghar Kyon Nahi Jata.......


Main Waqt Pe Ghar Kyon Nahi Jata----

kya dhoondti hay nigahay.........

Benaam Sa Ye Dard, Thehar Kyon Nahi Jata,Jo Beet Gaya Hai, Woh Guzar Kyon Nahi Jata---Sab Kuch To Hai, Kya Dhundti Rahti Hai Nigahe,Kya Baat Hai Main Waqt Pe Ghar Kyon Nahi Jata----

Woh Ek Hi Chera To, Nahi Sare Jahan Mein,Jo Dur Hai Woh Dil Se Utar Kyon Nahi Jata-----Main Apni Hi Uljhi Hui Raho Ka Tamasha,Jate Hain Jidhar Sab, Main Udhar Kyon Nahi Jata.


Kisi kay kho janay ka Dar kion nahin jata ....yeh bojh mery Dil say utar kion nahin jata.......Manzail pay poohanch kay bhi usy khona paradega ....yeh tay hay too phir shooq-e-safar kyon nahin jata.......

Main Waqt Pe Ghar Kyon Nahi Jata----

Friday, May 18, 2007

Yehi Wafa Ka Sila Hai To Koi Baat Nahi !




Yehi Wafaa ka silaah hai...
Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi....Yeh dard tum ne diya hai,
to koi baat nahi.
Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se,Safeena doob raha hai, to koi baat nahi...Rakha tha aashiyana-e-tehzeeb dil main choopa ke tumko,
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi....Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi...
Kise majaal kahe koi mujh ko deewana, Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi...

Koi Apna Nahin Banta...


koi apna nahin banta Labon pay naam rakhney say dilon main yaad karney say har ek dhadkan, har ek tadpan kokisi ke naam karney say...
Kisi tanha akeli raah-e-guzar par puraney se kisi boodhey shajar par patthar say koi dil bananey sayaur usmein apna aur kisi ka naam sajaney sey
koi apna nahin banta...
Tamam umer ki khushiyan mohabbat ki sabhi ghadiyaan kisi ko daan karney sey Woh pehley pyar ki bateinrifaqat ki sabhi ratein woh chahat ki sabhi rasmein mohabbat ki sabhi qasmein hamesha yaad rakhney sey Koi Apna Nahi banta...An-dekhe Khwab sajane se,Sehra mein raat guzarne se, Bhooke pet sojane se, Woh apno se ruswai, gairon se humdardi, ghar chodna, purane marasim mitana,woh apni dhun mein rehne se, Bhari mehfil mein rone se, Kitabon mein phool rakhne se, koi apna nahin banta.........

Wednesday, May 9, 2007

Yeh kaisa banayaa ek musafir ne ghar…


Yeh kaisa banayaa ek musafir ne ghar…

Ek musafir ne banaaya kinaaro par ghar,Duaayein woh karta tha shaam-o-seher,Na doobne ka khauf na toofaano ka darr Jaise kashti ho zindagi aur dost har lehar Par har taraf paani hi paani tha aata nazar Woh paani kahaan, tha woh khaara zeharWoh tadapta raha har ghadi har pehar,

Ye kaisa banaaya kinaaro par ghar…Phir musafir ne banaaya sitaaro par gharShayad hone laga tha duaao ka asar Ab baadal hi baadal the aate nazarJo sirf dete the paani, na dete zeharPar sooni thi galiyaan, tha soona shehar Tha musafir toe zinda, par tanha safarWoh khaali makaano ko kehta tha gharYe kaisa banaaya sitaaro par ghar…Phir musafir ne banaaya ek yaaro ka gharLog kehne lage be-sahaaro ka gharNa kinaaro par tha woh, na sitaaro ka gharTha zamee par hi chand deewaaro ka ghar Woh jhukaata ab jab bhi darbaaro par sarEk dua se ban jaata hazaaro ka ghar,Tha mahalo se achha do deewaaro ka ghar Bada khoob banaa tha woh yaaro ka ghar....
Yeh kaisa banayaa ek musafir ne ghar…

Sunday, May 6, 2007

Ussey kehna...


Ussey kehna...


Kabhi mila tu ye baat us se kehna,

Biker rahi hai meri zaat ussey kehna,

Woh sath thi to zamana tha humsafar mera,

Mager ab koi nai mere sath ussey kehna,

Ussey kehna...


Ussey pukaro ya khud hi pounch jao us ke pass,

Nahi rahe woh halat ussey kehna,

Mager woh phir bhi na lotey to aye mehrban Raqeeb,

Humari zeest ki halat ussey kehna,


Ussey kehna...

Har baat to likh nahi sakta main lafzo main,

Nahi de rahe saath mere Jazbaat usee kehna,

Har jeet us ke naam ker raha hun mein,

Mein manta hun apni HAAR tehzeeb, ussey kehna..

Ussey kehna.....

Friday, May 4, 2007

Jeene ke liye bhi waqt nahi.......


Jeene ke liye bhi waqt nahi.......

Har khushi hai logo ke Daaman me,Par ek HASI ke liye waqt nahi.Din raat daudti hai duniya me,Per Jindagi ke liye he waqt nahi.Maa ki lori ka ehesaas to hai sabko,par maa ko maa kehne ka waqt nahi.Sare rishton ko to hum maar chuke,ab unhe dafnane ka bhi waqt nahi.Saree naam mobile me hain,par dosti ke liye waqt nahi.Gairon ki kya baat kahen,jab apano ke liye he waqt nahi.Ankhon me hai neend badee,par sone ko waqt nahi.Dil hai gamo se bharaa hua,par rone ko bhi waqt nahee.Paison ki daud me aise daude,ke Kharch karne ke liyeh bhi waqt nahi.Paraye ehesaso ki kya kadar karen,jab apane sapano ke liye hi waqt nahi.Tu hi bata E Zindagi,is Zindagi ka kya hoga.Ki har pal mar ne walon ko,jeene ke liye bhi waqt nahi.......Jeene ke liye bhi waqt nahi.......

Wednesday, May 2, 2007

Samandar main utarta hoon to aankhain kyon bheeg jaati hain...


Samandar main utarta hoon to aankhain kyon bheeg jaati hain...
Teri aankhon ko padhta hoon to aankhain kyon bheeg jaati hain,
Tera naam likhney ki ijaazat chhin gayi jub say....
koi bhi lafz likhta hoon to aankhain kyon bheeg jaati hain,
Teri yaadon ki khushboo khirkiyoun main "Raqs" karti hay....
Teray gham main sulagta hoon to aankhain kyon bheeg jaati hain,
Teri sadayen roz bulati hai mujhe ShabBhar,
Rukta hoon to Aankhain kyon bheeg jate hai...
Najaaney hogaya hoon is qadar Khamosh main kub say....
kisi say baat karta hoon to aankhain kyon bheeg jaati hain,
Woh sub guzrey huay lamhaat mujh ko yaad aatey hain Aksar...
Tumhaarey khat jo padhta hoon to aankhain kyon bheeg jaati hain,
Samandar main utarta hoon to aankhain kyon bheeg jaati hain...
Teri aankhon ko padhta hoon to aankhain kyon bheeg jaati hain !!!!

Friday, April 20, 2007

Meray Khuwab Meray Jazbaat Sirf Meray Tak Hain.....


Meray Khuwab Meray Jazbaat Sirf Meray Tak Hain.....

MerayBaad Enhay Yaad Karay Ga Kaun,

Meri Chahaat Ban Jaye Gi ek Afsana,

Meri Mohabat Ko Yaad Karay Ga Kaun.


Meray Khuwab Meray Jazbaat Sirf Meray Tak Hain.....

Meray Tak Hain Yeh Tamam Gulzaar Nazaray,

Meray Baad Enhay Aabad Karay Ga Kaun,

Meri Kahaniyian Bikhrein Gi Rahoon Pay,

Meray Afsanoon Ko Yaad Karay Ga Kaun,

Meri Khatayon Ko Shumar Karay Ga Zamana,

Meri Lafzon Ko Yaad Karay Ga Kaun.


Meray Khuwab Meray Jazbaat Sirf Meray Tak Hain.....

Jo Guzaray Thay Hum Nay Zamanay Mill Kay Un Zamanon Ko Yaad Karay Ga Kaun,

Meri Aahein Meray Saath Ho Jaien Gi Dafan,

Meray Aashkon Ko Yaad Karay Ga Kaun,

Ek Tum Say Hai Zinda Yeh Chahaat Meri Tum Hee Na Ho Gay Tuo Yaad Karay Ga Kaun,

Meray Darakhtoon pe wafaon ke patte abhi Baqi hai,

Meray baad inhain Labraiz karega kaun,

Teri Ummed ke Chiragon main lo abhi baqi hai,

Meray baad inhain roshan karega kaun.

Meray Khuwab Meray Jazbaat Sirf Meray Tak Hain.....

Kyon Rakhun Ab Main Apni Kalam Main Syahi....


Kyon Rakhun ab main Apni Kalam main Syahi....

Jab koi Armaan dil main machalta hi nahi.....

Na jaane kyon shaq kerte hain sab Mujhper....

Jab koi SUKHA phool meri kitaab se nikalta hi nahi....


Kyon Rakhun ab main Apni Kalam main Syahi....

Kashish to bahot hai mere "Ashqon" main magar...

Kya karun koi PATTHAR dil pighalta hi nahi...

Agar khuda mile to usse apna PYAR mangoonga,

Per suna hai WOH marne se pehle kissi se milta hi nahi,

Kyon Rakhun ab main Apni Kalam main Syahi..............

Monday, April 16, 2007

Apne Ehsaas Se Chhoo Kar Mujhe Fannah Kar Do.....




Apne ehsaas se chhoo kar mujhe Fannah kar do.....



Main kai sadion se adhoora hoon mukammal kar do,



Na tumhe hosh rahe na mujhe hosh rahe,is qadar toot ker chaho ki pagal kar do,



Meri hatheli ko apna pyar ki mehndi se rango,meri ankhon mein apne pyar ka kajal bhardo,



Dhoop hi dhoop hoon main, mujhpe is qadar barso k meri rooh ko Gulzaar kardo,



Tum chhupa lo mera dil, chhaon mein apne dil ki, Aur mujhe meri nigahon se bhi ojhal kardo,



Apne gham ko kaho har waqt mere saath rahe,ek ehsaan karo, is ko musalsal kar do,



mujh pe chha jao kisi aag ki soorat ki tarah aur meri chahat ko sookha hua jungal kar do.......



Apne ehsaas se chhoo kar mujhe Fannah kar do.....

Friday, April 13, 2007

Baat Aansoo ki Hay....






Baat Aansoo ki Hay....

Hum milay to bahey the aansoo,

hum bichde to bahey the aansoo,

Milna bichadna to naseeb may tha kyu phir bahey the aansoo...



Baat Aansoo ki Hay....

Sochta raha hu tujh ko raat bhar,

raat bhar phir bahey the aansoo,

Khwaab may phir dekha hay aaj tujh ko,

aur aaj phir bahey the aansoo,

Gilay kagaz pay adhey likhe adhey mitey lafz,

saboot hay ke phir bahey the aansoo,

Likh raha tha may kuch, naam aya likhne ko tera aur phir bahey the aansoo,

Woh moti se kam na the mere liye Sanam,

jo app ki yaad may mere bahe y the aansoo,

Dekha to pani ke katre the,

par samunder-e-tehzeeb qaid hay us pani may jo ban ke bahey the aansoo,

Baat Aansoo ki Hay..............

Kuch log un hi shahar mein humse khafa hain !


Kuch log un hi shahar mein humse khafa hain;
Dil mein hozaroorat hai to mohabbat nahi milti,
khairat mein itni badi daulat nahi milti,
kuch log un hi shahar mein humse khafa hain,
har ek se to apni tabiyat nahi milti....
Kuch log un hi shahar mein humse khafa hain........
dekha tha jise maine koi aur tha shayad,
vo kaun hai jisse teri surat nahi milti,
haste huye chehron se hai baajar ki zannat,
rone ko yahan vaise bhi fursat nahi milti,
Wo kahkar chale gaye itni mulaqat kafi hai...

kuch log un hi shahar mein humse khafa hain........
humne kaha ruk jaao abhi raat baki hai,
aansu mere tham jayen to shauk se jana,
aise mein kahan jaaoge abhi is dil mein barsaat kaafi hai,
sochta hoon samundar ki lahron ko dekh kar,
kun ya kinare se takrakar laut jati hain,
karti hain saahil se bewafai ya sagar se wafa nibhati hain.

Kuch log un hi shahar mein humse khafa hain........
Do Kadam To Sab Chal Lete Hain Par,
Zindagi Bhar Ka Saath Koi Nahi Nibhata,
Agar Ro kar Bhulaai Jaati Yaadein To,
Hanskar Koi Ghum Naa Chupata,
Unki jahan se nirali hai ada,Andaz unke hai yaaro sabse juda,
Khafa ho jaaye toh qatil se kam nahi,
meharbaan ho jaayen toh lagte hain khuda.
kuch log un hi shahar mein humse khafa hain........

Manzile bhi uski thi,rasta bhi uska tha. !




Manzile bhi uski thi,rasta bhi uska tha...........


Manzile bhi uski thi,rasta bhi uska tha,


ek main akela tha, kafila bhi uska tha,


saath-saath chalne ki soch bhi uski thi,


fir raasta badalne ka faisla bhi uska tha....




Manzile bhi uski thi,rasta bhi uska tha...


aaj kyon akela hoon, dil sawal karta hai,


log to uska the, per kya khuda bhi uska tha..?


kyun karoon.....Hokar zameen ka, aasman ki chah kyon karoon,


main tujhko paane ki tamanna kyon karoon.




Manzile bhi uski thi,rasta bhi uska tha...


mujhko khabar hai, judai tadpayegi tujhe har pal,


isliye bata de main tujhse wafa kyon karoon,


imaan ko mere chot lagegi,gr tu na mili mujhe,


tujhe aapna banane ki dua phir kyon karoon,




Manzile bhi uski thi,rasta bhi uska tha...


teri masoomiyat ko banayaa hai rab ne mohhabat ke liye,


tujhe na chahne ki khata main kyon karoon,


farishtey bhi tadap jate hain ,teri aankhon se jab ashk chalakte hain,


ye dard tujhe dekar, main koi gunah kyon karoon,


teri meri kismat ki rahein hain juda juda,


main phir tera ban jane ki aarzo kyon karoon,


Manzile bhi uski thi,rasta bhi uska tha ek main akela tha,


kafila bhi uska tha....................

Thursday, April 12, 2007

Main Har Ek Sawal Ka Jawab Kya Deta !




Main her ek sawaal ka jawab kya deta........


Lakht lakht badan ka hesab kya deta,


Jo ek lafz ki khushbo na rakh saka mehfuz,


Main us ke haath mein sari kitaab kya deta.




Main her ek sawaal ka jawab kya deta........


Labon Pe Geet To Aankho Mein Khwaab Rakhte the,


Kabhi Hum Bhi Kitaabon mein Gulaab Rakhte the,


Kabhi Kisi ka Jo hota tha Intzaar Ae "Tehzeeb",


Bahut Hi Shaam-o-Sehar Ka Hisaab Rakhte the,




Main her ek sawaal ka jawab kya deta........


Bahaut Chaha Par Unko Bhula Na Sake,


Khayalo Mai Kisi Or ko Lana Sake,


Unko Bhula Ke Assu To Ponch Liye,


Par Kisi Or Ko Dekh Kar Muskura Na Sake.




yun to "Raat" ka alam haseen hota hai, madhosh bhi,


magar"chand"dekhoon to meri ratein badal jati hain,


karney ko kia nahi kartey log muhabbat mein,


sirf hamarey liye hi kyun? rasmein badal jati hain,


Main her ek sawaal ka jawab kya deta........