Yeh kaisa banayaa ek musafir ne ghar…
Ek musafir ne banaaya kinaaro par ghar,Duaayein woh karta tha shaam-o-seher,Na doobne ka khauf na toofaano ka darr Jaise kashti ho zindagi aur dost har lehar Par har taraf paani hi paani tha aata nazar Woh paani kahaan, tha woh khaara zeharWoh tadapta raha har ghadi har pehar,
Ye kaisa banaaya kinaaro par ghar…Phir musafir ne banaaya sitaaro par gharShayad hone laga tha duaao ka asar Ab baadal hi baadal the aate nazarJo sirf dete the paani, na dete zeharPar sooni thi galiyaan, tha soona shehar Tha musafir toe zinda, par tanha safarWoh khaali makaano ko kehta tha gharYe kaisa banaaya sitaaro par ghar…Phir musafir ne banaaya ek yaaro ka gharLog kehne lage be-sahaaro ka gharNa kinaaro par tha woh, na sitaaro ka gharTha zamee par hi chand deewaaro ka ghar Woh jhukaata ab jab bhi darbaaro par sarEk dua se ban jaata hazaaro ka ghar,Tha mahalo se achha do deewaaro ka ghar Bada khoob banaa tha woh yaaro ka ghar....
Yeh kaisa banayaa ek musafir ne ghar…
Yeh kaisa banayaa ek musafir ne ghar…
No comments:
Post a Comment